free blog kaise banaye? Blog banane ki puri Jankari

2021 me free blog kaise banaye? Blog banane ki puri jankari hindi me chahiye, to aap bilkul sahi jagah par aaye ho. 2021 me free blog banakar aap paise kama sakte hai.

Internet ki duniya me online business ya apni pehchan banane ke liye blog banana ek behtar plateform hai, agar aap blogging ke basic sikhna chahte hai aur paise earn karna chahte hai to aap free me blog banakar aasani se paise kama sakte hai.

blog kaise banaye

In this post, 2021 me free blog kaise banaye? blog banane ki puri jankari me mai aapko bataunga ki blog ko unique tarike se kaise bana kar paise kamaya ja sakta hai. Lekin usse pahle aapke liye ye janna bhi bahut jaruri hai ki Blog aur website me kya difference hai. Ek aur baat koi bhi point ko skip na kariyega mai yaha step by step har ek points ke bare me bataunga.

Blog aur Website kya hai? (What is blog and website in hindi)

Free Blog kaise banaye ke bare me janne se pahle aapko blog aur website me fark pata hona chahiye.

read this : blog kya hai or iske kya fayde hai ?

Blog aur Website ye dono ek dusre se alag hai. Agar aap yah soch rahe hai ki website and blog dono same hai to aap wrong way me ja rahe hai dono me kafi difference hai bas kuch reason ki wajah se blog ko website ka naam diya jata hai. Mai aapko clear karke batata hu.

Website kya hai (What is Website in hindi)

Website ka matlab hai ek aisi company jo sirf ek hi topic par work karti ho for exp: Amazon, Flipkart, Facebook, Twitter, ye ek website hai. Amazon & Flipkart, jaisa ki aap jante hai isme aapko shopping se related hi information milti hai, aur Facebook jiska kaam hai world ke kisi bhi unknown person se ek dusre se connect karana.

Ek Website ko banane ke liye Java script, c++ language, php, html, CSS, etc programming ki knowledge hona bahut jaruri hai inke bagair website ko 1% bhi nahi banaya ja sakta hai.

Blog kya hai (What is blog in hindi)

Blog us plateform ko kahte hai jisme sabhi prakar ke article likhe jate hai apne thought’s ko internet me share kiye jate hai, article chahe education se related ho ya cricket, cooking, biography, technology etc ho.

Blog ko banane ke liye kisi bhi programming language ki jarurt nahi padti, bas thore se basic aane chahiye jo ki bahut easy hote hai.

Don’t worry agar aapko basic knowledge bhi nhi hai to bhi aap is post ko read karke aaram se sikh jayenge.

Blog me sabhi prakar ke topics likhe jate hai aur share kiye jate hai isliye ise dusre shabdo me website bhi bol sakte hai ya mini website bhi kah sakte hai.

Ummid karta hu ki aapko blog aur website me difference samajh me aa gaya hoga.

Free Blog banane ke benefits kya hai?

Blogging karke aap blog se kya kya benefits le sakte hai ye padh kar aap shocked ho jayenge.

  • Blogging karke blog se internet ki duniya me aapk naam ki alag pahachan banegi.
  • Blog bana lene se aap paise kama sakte hai, paise kamane ki koi limitations nahi hai isme.
  • Affiliate marketing kar ke paise kama sakte hai aapko shayd pata na ho lekin affiliate marketing karke log croro rupaye kama rhe hai.
  • Blog banane ke liye koi special course ki jarurt nahi hoti hai, ise bachche se bujurg log tak bhi aasani se bana sakte hai.

Student, housewife ya unemployed person ho, blog ke jariye aap apne carrier ko us mukaam tak le ja sakte ho jaha aap apne dreams ko aasani se pura kar sakte ho.

Free Blog Kaise banaye?

Blog Kaise Banaye: Blog banane ke bahut sare plateform hai, aap free me blog bana sakte hai aur paid blog bhi bana sakte hai

In this post mai aapko free blog banane ke bare me bataunga neeche diye gye list me blog banane ke free aur paid dono plateform hai.

  • Blogger
  • WordPress.com
  • WordPress.org (For paid)
  • Wix
  • Tumblr

Blogger (Blogspot): Blogger Google ki hi free service hai jis par aap free website/blog bana sakte hai isme aapko kisi bhi prakar ki hosting lene ki jarurat nahi padti hai. Google khud ise host karta hai jisse iski security ko lekar koi sawal hi nahi uthta. Blogger par pura adhikar google ka hota hai.

read this: Google se traffic kaise laye

WordPress: WordPress website ke 2 part hai pehla WordPress.com jo ki ek free service hai is par bhi aap free me account bana sakte hai but features kam milte hai.

WordPress.org ek paid plateform hai isme aapko hosting ke sath Domain bhi purchase karna padta hai lekin isme aap khud ke malik hote hai ise manage karna blospot se bhi easy hai kyuki isme coding ki jarurat nahi padti.

Wix: Wix free & Paid plateform hai jispar aap bina kisi paise ke free me blog bana sakte hai, lekin free version me fetaures bahut limited hote hai aur is par advertisement bhi wix website ke hi honge.

Tumblr: Tumblr par bhi aap free blog bana sakte hai jisme aap apne article share kar sakte hai.

Blog banane ke liye In sabhi me se Blogger & WordPress plateform jyada popular hai.

Agar aapne abhi tak blog nhi banaya hai to mai recommend karunga ki sabse pahle aap Blogger plateform par hi blog banaye kyuki ye Google ki secure service hai aur ye bilkul free hai.

Note: Duniya Ka Har ek blogger 90% starting me Blogger (Blogspot) par hi blog banate hai aur jab wo blogging ko achche se samajh lete hai tab wo Blogger se WordPress me shift hote hai.

Free Blog banane ke liye kya kya requirements hai?

Jaisa ki maine upar bataya ki blog ko banane ke liye koi coading, JAVA, CSS jaisi programming ki bahut jyada knowledge ki jarurat nahi padti hai. Blog ko aap 5 minute ke andar bana sakte hai.

Requirements:

  • G-Mail Account
  • Mobile / Computer / Laptop
  • Good Internet Connection
  • Bahut Sara Pateince (धैर्य)

Aapke pas G-mail account hona chahiye, Agar Laptop / PC nahi bhi hai to bhi aap mobile se blog bana sakenge.

Free Blog kaise banaye Step by step in Hindi

Ab mai aapko blog kaise banaye ke bare me step by step batata jaunga aap steps ko follow karte jayiye.

Steps: 1

Sabse pahle Blogger website par Click kare aur Create a Blog par click kar G-Mail id se login kare.

start a blog with blogger

Jaise hi G-mail Id se login karenge aapke samne ek new pop window open ho jayegi aur isme aapko blog ka title dena hoga jo ki search result me aapke blog ka nam hoga aage jo bhi detail bharni hai use aap step by step nimn prkar samjh sakte hai .

1. Title: Title me aapko apne Blog ka Naam Dalna hai for exp: maine apne blog ka naam Hindi-helps likha hai.

blog title in blogger

2. Address (URL): Yaha par apne blog ka address yani URL dena hai, koshish ye kare ki jo aapne title name diya hai usi name se address bhi de. kabhi kabhi aap jo website ka address dete hai wo not available show hota hai, because wo address pahle se hi kisi ne registered kar liya hai. yaha mai apne blog ka address hindi-helps dal raha hu, blogspot.com domain automatic likh ke jata hai.

blog address blogger

note: agr jab aap blog address me koi name likte hai or vo avialable nhi hai to iske matlab hai ki vo name already kisi ne le liye hai or aapko kisi any nam ke sath try krna hoga.

iske bad display name jo ki aapke blog ka name jo ki search result me display hoga bharna hai or finish par click kar dena hai .

3. Theme: Ab aapko apne blog ki design ke liye Theme select karni hai abhi aap normal koi bhi theme select kar le,

blogger me jo default theme hoti hai wo fully customized nhi hoti hai, isliye blog me Fast loaded, responsive, mobile friendly theme ka hona bahut jyada jaruri hai.

Neeche maine Blogger ke liye Free Best SEO friendly theme di hui hai jise aap apne blog category ke hisab se koi bhi theme ko download kar sakte hain.

 

One more thing, ki aapne jo theme download ki hai uski loding kaisi hain wo fast hai ya nahi yah aapko check kar lena chahiye.

aap any website se bhi achhe blogger theme download kar sakte hai.

4. Create post:

Aapka free me Blog ban chuka hai, ab aap blog post ko likh sakte hai share kar sakte hai.

Blog post likhne se pahle aapko kuch setting karni hoti hai jo ki aapke blog ke liye bahut jyada important hai. Blog ki setting ke liye ye post padhna bilkul bhi na bhule.

Dhyan rahe ki maine abhi aapse kaha tha ki blog ko student se lekar housewife tak ki easily blog ko maintain kar sakte hai blog ko sikhna koi bahut mushkil kaam nahi hai bas aapme junun hona chahiye.

Ummid Karta hu ki aapko 2021 me free blog kaise banaye? Blog banane ki puri jankari hindi me jarur helpful sabit hui hogi

मेरा नाम Naveen है। मैं हर दिन देश दुनिया, blogging और internet से जुडी जानकारी मेरे इस ब्लॉग hindihelps.com पर upload करता रहता हु।


सम्बंधित पोस्ट ->

Leave a Comment