What is email id in hindi – ईमेल आई डी क्या है हिंदी में जानिये

email id kya hota hai,ईमेल आई डी क्या है हिंदी में जानिये? aur iske kya faide h. email id ke naming convention, basic terms of email , popular email services provider sabhi ki jaankari hindi me.

electronic mail ko hi email kaha jata h.koi bhi message ,letter,document ya kisi bhi prakar ki file jise electronic medium ke through send kiya jata h.use email kehte h.

email me koi jaruri hi nahi ki file ko hi send kiya jaye , isme aap text , emoji bhi send kar sakte h.isme har users ki ek identity hoti h jise id kahte h , agar ye pura word ko ek sath mila diya jaaye toh email id banta h.

Vaise aaj internet ki duniya me har koi email id ka use kar rahe h.lekin kuch log aise bhi h,jo in sab chijo se anjan h.aur letter,documents send karne ke liye vahi purana tarika use kar rahe h.aur kuch aise bhi log h,jo interent ka use toh karte h,lekin unke pass apna khud ka email id(email address) nahi h.

email address meaning in hindi

agar meri baat mane toh aaj har inshaan ke pass apna khud ka email id hona chahiye,is se faida yah hota h,ki aapki privacy aap tak hi secure rahti h.vaise bhi yah free service h.jisme aapko kisi bhi prakar ka koi paise dene ki jarurat nahi padhti.bus jarurat padhti h toh internet ki.

Email id ki jarurat kya hai (why need email id)

aajkal aap kahi bhi jaiye , ya kisi bhi prakar ka form bhariye . aap se ek chij jarur mangi jaygi aur wah h aapki email id.chahe aap bank me account khole ya fir kisi education organization me form fillup kare.har jagha aapko email id fill karne ko bola jata h..

Pearlvine क्या है और Pearlvine से पैसे कैसे कमाए ?
आधार कार्ड से बैंक बैलेंस चेक करे जाने कैसे?

aap in jagho par apna email id dete h toh aapko yah faida hota h ki kisi bhi prakar ki notification ya announcement aap tak jaldi pahuch jati h . jabki purane tarike me toh koi letter aap tak pahuchegi ya nahi iski koi gurrenty nahi rahti thi.sath hi sath isme time bhi bahut lagta tha,aur kuch paise bhi.aur privacy ki toh aap baat hi chod dijiye.

Email id naming convention:-

  1. email address me aapka first name aur last name left part me hota h , jise localpart bhi kahte h.
  2. aur middle me @ sign(at the rate ka sign) hota hai,jiska matlab h isthit h.
  3. uske baad domain name.yah domain name kisi bhi email address ka extension ki tarah hota h,suppose aap gmail me account create karte h toh , gmail.com aapke mail part ka domain name hoga.aur yahoo me create karte h toh yahoo.com domain name hoga. menas aapka email us particular server par host ho raha h.

Example:- suppose koi email address hindihelps11@gmail.com h.isme localpart ya fir username pcinhindi h,uske baad @ ka symbol h.fir gmail.com yeh aapke email ka extension ki tarah h.

ऐयरटेल रिटेलर कैसे बने? Airtel Retailer Kaise Bane ?

agar ise clear word me kahe toh pcinhindi , gmail.com me isthit h ya avalible h.ise dusre word me bhi kah sakte h ki pcinhindi , gmail par hosted h.

Case sensitive

Email address case sensitive nahi hota.means agar aap kisi letter ko upar case aur lower case me likhte h toh,iska matlab ek hi hota h.Aaiye ise example ke through samajh lete h.

hindihelps11@gmail.com

Hindihelps11@gmail.com

HINDIHELPS11@GMAIL.COM

In sabhi ka matlab ek hi h,matlab agar inme se kisi ek me bhi email send karenge,toh wo ek hi address me send hoga.

Popular email servise providers:-

1. Gmail:-

yah google ki free servise h,jise aap apne email servise ke liye use kar sakte h.iski sabse badi khasiyat yah h ki aapko ek baar gmail me account banana ke baad google ki kisi bhi servise ka easily use kar sakte ho.like google drive,picasa.maps,youtube,google+,blogger,adsense etc.

Gmail ke kuch feature:-

  • Gmail aapko 15gb ki free space provide karata h.
  • Aap ise remotely singout kar sakte h.
  • Multiple account use karne ki facility.
  • Gmail ko google ke sabhi servise ke liye use kiya jsa sakta h.
  • Desktop notification ki facility.
  • 25MB tak maximum file attachment karke send kar sakte h.

2. Yahoo:-

yah yahoo ki free services h , ek baar yahoo me email create karne ke baad aap direct yahoo ki kisi bhi product ko access kar sakte h like yahoo answer , flickr  , yahoo messanger etc.

Yahoo mail ke kuch features:-

  • Simple interface aur looking attractive hona.
  • Yahoo mail teji se load hote h.
  • Isme aap sabhi email providers ke email’s ko connect kar sakte h.like gmail , orkut ke.
  • Aap ise dropbox aur google drive se bhi connect kar sakte h.iska faida yah hoga ki aapko aur jada space mil jaynge use karne ke liye.kyoki dropbox aapko 2 gb space provide karati h aur google drive 15 gb ki.
  • Aap ise linkedin aur twitter,facebook jaise social media se bhi connect kar sakte h.
  • 25MB tak maximum file attachment karke send kar sakte h.
  • yah yahoo ki free service h.
  • jo aapko 1 TB(1000GB) ki space provide karati h.

Email id use karne ke faide:-

1.email ka free hona.

2.easy tarah se use karna.

3.files,message ka fast deliver hona.

4.secure hona.

5.aap kisi bhi ek hi message ko multiple person ko ek sath send kar sakte h.

6.multimedia ka use karke message ko acche tarike represent karna.

Email id me use hone wale kuch terms:-

1. Compose:-

iska matlab email me new email create karna hota hai,yah bilkul usi tarah hota hai,jiase ki hum apne mobile me message compose karte hai.

2. Spam:-

spam mail ko junk mail bhi kaha jata hai.ek aisa mail jisme unauthorized links, malware, virus ho,jo aapke system ke liye khatarnak ho sakte hai.ye mostly advertising ke liye use kiya jata hai.agar aapko lagta h ki koi unauthorized person or unknown person baar-baar aapko mail karke pareshan kar raha h,toh aap use spam kar sakte hai.aisa karne se agar wo dubaara mail karta h toh wo spambox me chala jata h.

3. Attachment:-

iska matlab aap apne kisi bhi message me kisi tarah ki file add kar sakte h.yah file kisi bhi tarah ki ho sakti hai.like document,pdf,songs,video etc..

4. Trash:-

isme ve sabhi email’s hote hai, jinko aapne apne inbox se delete kiya tha.aap is section me jaake use permanently delete kar sakte h.

5. Subject :-

is section me subject ko define kiya jaata h.subject aisa ho ki email reader ko subject dekh kar hi samajh ah jaaye , ki aapka email kis baare me h.

Conclusion:-

email ke through hum kisi se bhi direct judh sakte hai, aur apne baat ya problem’s easily share kar sakte hai.ab iska ye matlab bilkul bhi nahi ki aap use din raat email hi karte rahe.aap bhale hi saamne wale me interested ho par ye jaruri nahi ki saamne wala bhi aapme utna hi interested ho.

Kisi ko bhi mail soch samajh kar kare, aur mail ka subject aisa select kare, jise read karke saamne wale person ko ek hint mil jaye, ki yah pura message kis bare me hai.koi bhi person aapke subject ko read karke hi aapke pure message ko read karne me interested hota hai.

to aapko yah post “what is email id in hindi – ईमेल आई डी क्या है हिंदी में जानिये ” kaisy lagi hame comment ke madhyam se batana na bhule . sath hi sath kuch suggestion ya fir question h toh aap hame comment ke madhyam se puch sakte h. ye post aap apne dosto,faimly ke sath share karna na bhule

मेरा नाम Naveen है। मैं हर दिन देश दुनिया, blogging और internet से जुडी जानकारी मेरे इस ब्लॉग hindihelps.com पर upload करता रहता हु।


सम्बंधित पोस्ट ->

1 thought on “What is email id in hindi – ईमेल आई डी क्या है हिंदी में जानिये”

Leave a Comment